kidhar hai aaj ilāhī vo shoḳh chhal-baliyā
ki jis ke ġham se mirā dil huā hai bāvaliyā
tamām goroñ ke hairat se rañg uḌ jaate
jo ghar se aaj nikaltā vo merā sāñvaliyā
tujhe ḳhabar nahīñ bulbul ke baaġh se gulchīñ
baḌī sī phūloñ kī ik bhar ke le gayā Daliyā
'nazīr' yaar kī ham ne jo kal ziyāfat kī
pakāyā qarz mañgā kar polāv aur quliyā
so yaar aap na aayā raqīb ko bhejā
hazār haif ham aise nasīb ke baliyā
idhar to qarz huā aur udhar na aayā yaar
pakā.ī khiir thī qismat se ho gayā daliyā