Nazeer Akbarabadi

bhare hain us pari mein ab to yaro sar-ba-sar moti

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
bhare haiñ us parī meñ ab to yaaro sar-ba-sar motī
gale meñ kaan meñ nath meñ jidhar dekho udhar motī
koī bundoñ se mil kar kaan ke narmoñ meñ hiltā hai
ye kuchh lazzat hai jab apnā chhidāte haiñ jigar motī
vo hañste haiñ to khultā hai javāhir-ḳhāna-e-qudrat
idhar laal aur udhar nīlam idhar marjāñ udhar motī
falak par dekh kar taare bhī apnā hosh khote haiñ
pahan kar jis ghaḌī baiThe hai vo rashk-e-qamar motī
jo kahtā ho are zālim Tuk apnā naam to batlā
to hañs kar mujh se ye kahtī hai vo jaadū nazar motī
vo dariyā motiyoñ kā ham se rūThā ho to phir yaaro
bhalā kyūñkar na barsā de hamārī chashm-e-tar motī
'nazīr' is reḳhte ko sun vo hañs kar yuuñ lagī kahne
agar hote to maiñ detī tujhe ik thaal bhar motī
Top Urdushayar.com