tire marīz ko ai jaañ shifā se kyā matlab
vo ḳhush hai dard meñ us ko davā se kyā matlab
faqat jo zaat ke haiñ dil se chāhne vaale
unheñ karishma-o-nāz-o-adā se kyā matlab
nihāl-e-tāza raheñ nāmiya ke minnat-kash
daraḳht-e-ḳhushk ko nashv-o-numā se kyā matlab
murād-o-maqsad-o-matlab haiñ sab havas ke saath
havas hī mar ga.ī phir mudda.ā se kyā matlab
mujhe vo pūchhe to us kā hī lutf hai varna
vo bādshāh hai use mujh gadā se kyā matlab
jo apne yaar ke jaur-o-jafā meñ haiñ masrūr
unheñ phir aur ke mehr-o-vafā se kyā matlab
razā-e-dost jinheñ chāhiye ba-har-sūrat
'nazīr' phir unheñ apnī razā se kyā matlab