sanam ke kūche meñ chhup ke jaanā agarche yuuñ hai ḳhayāl dil kā
pa vo to jaate hī taaḌ legā phir aanā hogā muhāl dil kā
guhar ne ashkoñ ke yaañ nikal kar jhamak dikhā.ī jo apnī har dam
to ham ne jaanā ki motiyoñ se bharā hai pahlū meñ qaal dil kā
kabhī ishārat kabhī lagāvaT kabhī tabassum kabhī takallum
ye tarzeñ Thahreñ to ham se phir ho bhalā jī kyūñkar sambhāl dil kā
vo zulf-e-pur-pech-o-ḳham hai us kī phañsā to niklegā phir na hargiz
hamārā kahnā hai sach are jī tū kaam us se na Daal dil kā
maiñ lahza lahza huuñ khīñch laatā vo phir usī kī taraf hai jaatā
karūñ 'nazīr' us kī fikr maiñ kyā hai ab to mere ye haal dil kā