Nazeer Akbarabadi

chah mein uski dil ne hamare nam ko chhoDa nam kiya

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
chaah meñ us kī dil ne hamāre naam ko chhoḌā naam kiyā
shaġhl meñ us ke shauq baḌhā kar kaam ko chhoḌā kaam kiyā
zulf dupaTTa dhānī maiñ kar ke pinhāñ mirā dil bāñdh liyā
said na khāve kyūñ-kar jal jab sabze meñ pinhāñ daam kiyā
ram par apne āhū-e-dil ko ġhurra nihāyat thā lekin
chanchal āhū-e-chashm ne us ko ek nigah meñ raam kiyā
samjhe the yuuñ ham dil ko lagā kar pāveñge yaañ ārām bahut
haif usī fahmīd ne ham ko kyā kyā be-ārām kiyā
ham ne kahā jab nāz-e-butāñ ke tum to bahut kaam aa.e 'nazīr'
sun ke kahā kyā aa.e jī haañ kuchh but ke muāfiq kaam kiyā
Top Urdushayar.com