Fani Badayuni

zaban muddaa-ashna chahta hun

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
zabāñ mudda.ā-āshnā chāhtā huuñ
dil ab zindagī se ḳhafā chāhtā huuñ
adā ko adā-āshnā chāhtā huuñ
tujhī par tujhe mubtilā chāhtā huuñ
vafā chāhte haiñ vafā chāhtā huuñ
vo kyā chāhte haiñ maiñ kyā chāhtā huuñ
mohabbat ko rusvā kiyā chāhtā huuñ
nazar mahram-e-iltijā chāhtā huuñ
ta.ayyun ġham-e-ishq kā chāhtā huuñ
unheñ chāhtā huuñ ye kyā chāhtā huuñ
tire dil ko dard-āshnā chāhtā huuñ
bhalā chāhtā huuñ burā chāhtā huuñ
bahut tañg hai vahm-e-hastī kī duniyā
maiñ aalam hī ab dūsrā chāhtā huuñ
shab-e-hijr terā tasavvur hī to hai
tujhe aaj tujh se judā chāhtā huuñ
mirī maut mātam kā husn-e-talab hai
sukūñ ek hañgāma-zā chāhtā huuñ
ḳhatā DhūñDtā huuñ atāoñ ke qābil
atā chāhte haiñ ḳhatā chāhtā huuñ
phir us bazm ko DhūñDtī haiñ nigāheñ
phir ik shikva-e-barmalā chāhtā huuñ
vo fariyād kā ahd phir yaad aayā
phir ik nāla-e-nā-rasā chāhtā huuñ
phir ādāb-e-furqat haiñ malhūz yaanī
hujūm-e-balā-dar-balā chāhtā huuñ
phir ik sajda-e-tauba kī aarzū hai
tujhe aap se phir ḳhafā chāhtā huuñ
phir ummīd-vār-e-karam huuñ ki 'fānī'
sitam-hā-e-shauq-āzmā chāhtā huuñ
koī vaj.h-e-taskīñ nahīñ ġham na rāhat
ḳhudā jaane 'fānī' maiñ kyā chāhtā huuñ
Top Urdushayar.com