ho ke mah vo to kisī aur kā haalā niklā
ham ne samjhā thā jise gul so vo laalā niklā
lene ḳhairāt tire chehra-e-pur-nūr se raat
badr chāñdī kā liye haath meñ pyālā niklā
us ke chehre pe nahīñ kākul-e-mushkīñ kī numūd
ye piTāre ke ta.iiñ toḌ ke kaalā niklā
thā irāda tirī fariyād kareñ hākim se
vo bhī ai shoḳh terā chāhne vaalā niklā
raat koThe pe chaḌhā vo to kahūñ kyā yaaro
manzar-e-bām se us ke vo ujālā niklā
barq juuñ chamke hai yā chhūTe hai jaise mahtāb
vo ujālā to kuchh is se bhī nirālā niklā
jī kī sab dhuum thī jab tan se vo niklā to 'nazīr'
phir na siine se uThī aah na naala niklā