to hī na sune jab dil-e-nāshād kī fariyād
phir kis se kareñ ham tirī be-dād kī fariyād
teshe kī vo khaT-khaT kā na thā ġhalġhala yaaro
kī ġhaur to vo thī dil-e-farhād kī fariyād
kal raat ko us shoḳh kī jā kar pas-e-dīvār
ik dard-e-farāham ne jo buniyād kī fariyād
sunte hī kahā us ne ki haañ dekho to us jā
kis ne ye bilaktī huī ījād kī fariyād
fariyād 'nazīr' aage hī us ke hai bahut ḳhuub
vaañ dekhne kā dekhnā fariyād kī fariyād