Nazeer Akbarabadi

ada-o-naz mein kuchh kuchh jo hosh usne sambhaala hai

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
adā-o-nāz meñ kuchh kuchh jo hosh us ne sambhālā hai
to apne husn kā kyā kyā diloñ meñ shor Daalā hai
abhī kyā umr hai kyā aql hai kyā fahm hai lekin
abhī se dil-farebī kā lahr ik naqsha nirālā hai
tabassum qahr hañs denā qayāmat dekhnā aafat
palak dekho to nashtar hai nigah dekho to bhālā hai
abhī nok-e-nigah meñ is qadar tezī nahīñ tis par
ka.ī zaḳhmī kiye haiñ aur ka.ī ko maar Daalā hai
akaḌnā tan ke chalnā dhaj banānā vaz.a dikhlānā
kabhī niima kabhī chapkan kabhī ḳhālī doshālā hai
kisī ke saath kāñdhe par kisī ke laat siine par
kahīñ nafrat kahīñ ulfat kahīñ hīla-havālā hai
'nazīr' aisā hī dilbar shohra-e-āfāq hotā hai
abhī se dekhiye fitne ne kaisā Dhab nikālā hai
Top Urdushayar.com