na mah ne kauñd bijlī kī na sho.ale kā ujālā hai
kuchh is gore se mukhḌe kā jhamkaḌā hī nirālā hai
vo mukhḌā gul sā aur us par jo nāranjī do-shāla hai
ruḳh-e-ḳhurshīd ne goyā shafaq se sar nikālā hai
kan-añkhiyoñ kī nigah guptī ishārat qahr chitvan ke
jo vuuñ dekhā to barchhī hai jo yuuñ dekhā to bhālā hai
kahīñ ḳhurshīd bhī chhuptā hai jī bārīk parde meñ
uThā do muñh se parde ko baḌā parda nikālā hai
khule bāloñ se muñh kī raushnī phūTī nikaltī hai
tumhārā husn to sāhab añdhere kā ujālā hai
na jhamkeñ kis tarah kānoñ meñ us ke husn ke jhumke
idhar bundā udhar jhumkā idhar bijlī kā baalā hai
'nazīr' us sañg-dil qātil pe da.avā ḳhuun kā mat kar
miyāñ jā tujh se yaañ kitnoñ ko us ne maar Daalā hai