maanī ne jo dekhā tirī tasvīr kā naqsha
sab bhuul gayā apnī vo tahrīr kā naqsha
us abrū-e-ḳhamdār kī sūrat se ayaañ hai
ḳhanjar kī shabāhat dam-e-shamshīr kā naqsha
kyā gardish-e-ayyām hai ai āh-e-jigar-soz
ulTā nazar aayā tirī tāsīr kā naqsha
din raat tire kūche meñ rove hai hamesha
āshiq ke ye hai mansab o jāgīr kā naqsha
tadbīr to kuchh ban nahīñ aatī hai 'nazīr' aah
ab dekhiye kyā hotā hai taqdīr kā naqsha