dekh kar kurtī gale meñ sabz dhānī aap kī
dhaan ke bhī khet ne ab aan maanī aap kī
kyā ta.ajjub hai agar dekhe to murda jī uThe
chain nefe kī Dhalak peḌū pe aanī aap kī
ham to kyā haiñ dil farishte kā bhī kāfir chhīn le
Tuk jhalak dikhlā ke phir añgiyā chhupānī aap kī
aa paḌe do sau baras ke murda-be-e-jāñ meñ jaan
jis ke uupar do ghaḌī ho mehrbānī aap kī
chhalle ġhairoñ paas to vo ḳhātam-e-zar ai nigār
hai hamāre paas bhī ab tak nishānī aap kī
vaqt to jaatā rahā par baat baaqī rah ga.ī
hai ye jhūTī dostī ab ham ne jaanī aap kī
kyā ajab sūrat raqīb-e-rū-siyah kī dekh kar
ḳhauf se hālat huī ho paanī paanī aap kī
ek aalam kohkan kī tarah sar phoḌegā ab
gar isī sūrat rahī shīrīñ-zabānī aap kī
kyā hameñ lagtī hai pyārī jab vo kahtī hai 'nazīr'
hai miyāñ kuchh in dinoñ nā-mehrbānī aap kī