jhamak dikhāte hī us dil-rubā ne luuT liyā
hameñ to pahle hī us kī adā ne luuT liyā
nigah ke Thag kī lagāvaT ne fan se kar ġhāfil
hañsī ne Daal dī phāñsī duā ne luuT liyā
vafā jafā ne ye kī jañg-e-zar-garī ham se
vafā ne bātoñ lagāyā jafā ne luuT liyā
luTe ham us kī galī meñ to yuuñ pukāre log
ki ik faqīr ko ik bādshā ne luuT liyā
abhī kaheñ to kisī ko na e'tibār aave
ki ham ko raah meñ ik āshnā ne luuT liyā
hazāroñ qāfile jis shoḳh ne kiye ġhārat
'nazīr' ko bhī usī bevafā ne luuT liyā