inkār ham se ġhair se iqrār bas jī bas
dekhe tumhāre ham ne ye atvār bas jī bas
itnā huuñ jā-e-rahm jo kartā hai vo jafā
to us se ro ke kahte haiñ aġhyār bas jī bas
saaqī hameñ pilā.iye yuuñ jaam pai-ba-pai
jo ham-nashīn kah uTheñ yak-bār bas jī bas
huuñ nā-umīd vasl se yuuñ jaise vaqt-e-naza.a
ro kar kahe tabīb se bīmār bas jī bas
ġhash huuñ maiñ vaqt-e-bosa jo kahtā hai hañs ke vo
muñh ko haTā haTā ke ba-takrār bas jī bas
us kā jo bas jī bas mujhe yaad aave hai to aah
pahroñ talak maiñ kahtā huuñ har baar bas jī bas
kal vo jo bolā Tuk to kahā ham ne muñh phirā
ḳhair ab na ham se boliye zinhār bas jī bas
ham dil lagā ke tum se hue yaañ talak ba-tañg
jo apne jī se kahte haiñ lāchār bas jī bas
sun kar kahā ki kyā mire lagtī hai dil meñ aag
shikva se jab kare hai tū iz.hār bas jī bas
aise tamāñche māruñgā muñh meñ tire 'nazīr'
gar tū ne mujh se phir kahā ek baar bas jī bas