jo kahte ho chaleñ ham bhī tire hamrāh bismillāh
phir is meñ der kyā aur pūchhnā kyā vaah bismillāh
qadam is naaz se rakhtā huā aatā hai mahfil meñ
ki ahl-e-bazm sab kahte haiñ bismillāh bismillāh
lagā.ī us ne jo jo teġh abrū kī mire dil par
lab-e-har-zaḳhm se niklī bajā.e aah bismillāh
shab-e-mah meñ jo kal Tuk Dagmagāyā vo to sab anjum
vahīñ bole ḳhudā-hāfiz pukārā maah bismillāh
vo jis dam nusḳha-e-nāz-o-adā āġhāz kartā hai
to ham kahte haiñ ik ik aan par vallāh bismillāh
jo us kī chaah kā jī meñ irāda hai to bas ai dil
mubārak hai tujhe jā shauq se tū chaah bismillāh
'nazīr' us dilrubā mahbūb chanchal se lagā kar dil
hameñ kahnā paḌā hai dam-ba-dam allāh bismillāh