Fani Badayuni

nam badnam hai nahaq shab-e-tanhai ka

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
naam badnām hai nāhaq shab-e-tanhā.ī kā
vo bhī ik ruḳh hai tirī anjuman-ārā.ī kā
aa chalā hai mujhe kuchh vāda-e-fardā kā yaqīñ
dil pe ilzām na aa jaa.e shakebā.ī kā
ab na kāñToñ hī se kuchh laag na phūloñ se lagāo
ham ne dekhā hai tamāshā tirī rānā.ī kā
donoñ aalam se guzar kar bhī zamāna guzrā
kuchh Thikānā bhī hai is bādiya-paimā.ī kā
ḳhud hī betāb tajallī hai azal se koī
dekhne ke liye parda hai tamannā.ī kā
lag ga.ī bhiiḌ ye dīvāna jidhar se guzrā
ek aalam ko hai saudā tire saudā.ī kā
phir usī kāfir be-mehr ke dar par 'fānī'
le chalā shauq mujhe nāsiya-farsā.ī kā
Top Urdushayar.com