ga.e ham jo ulfat kī vaañ raah karne
irāde se chāhat ke āgāh karne
kahā us ne aanā huā kis sabab se
kahā aap ke dil ko hamrāh karne
biThāyā aur ik chuTkī lī aisī jis se
lage muñh banā ham vahīñ aah karne
jo ye shakl dekhī to chuTkī bajā kar
kahā yuuñ 'nazīr' aur lagā vaah karne
miyāñ ek chuTkī se kī aah ruk kar
isī muñh se aa.e ho tum chaah karne