ham ashk-e-ġham haiñ agar tham rahe rahe na rahe
mizha pe aan ke Tuk jam rahe rahe na rahe
raheñ vo shaḳhs jo bazm-e-jahāñ kī raunaq haiñ
hamārī kyā hai agar ham rahe rahe na rahe
mujhe hai naza.a vo aatā hai dekhne ab aah
ki us ke aane talak dam rahe rahe na rahe
baqā hamārī jo pūchho to juuñ charāġh-e-mazār
havā ke biich koī dam rahe rahe na rahe
milo jo ham se to mil lo ki ham ba-nok-e-giyāh
misāl-e-qatra-e-shabnam rahe rahe na rahe
yahī hai azm ki dil bhar ke aaj ro liije
ki kal ye dīda-e-pur-nam rahe rahe na rahe
tumhāre ġham meñ ġharaz ham to de chuke haiñ jī
balā se tum ko bhī ab ġham rahe rahe na rahe
yahī samajh lo hameñ tum ki ik musāfir haiñ
jo chalte chalte kahīñ tham rahe rahe na rahe
'nazīr' aaj hī chal kar butoñ se mil liije
phir ishtiyāq kā aalam rahe rahe na rahe