baiThe haiñ ab to ham bhī bologe tum na jab tak
dekheñ to aap ham se nā-ḳhush raheñge kab tak
iqrār thā sahar kā aisā huā sabab kyā
jo shaam hone aa.ī aur vo na aayā ab tak
mahfil meñ gul-ruḳhoñ ke aayā jo vo parī-rū
ho shakl-e-hairat us kī sūrat rahe vo sab tak
bosa 'nazīr' ham ko dene kahā thā us ne
ham vaqt pā ke jis dam lene kī pahuñche Dhab tak
har chand thā nashe meñ vo shoḳh to bhī us ne
hargiz hamāre lab ko aane diyā na lab tak