Nazeer Akbarabadi

dur se aae the saqi sun ke mai-KHane ko hum

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
duur se aa.e the saaqī sun ke mai-ḳhāne ko ham
bas taraste hī chale afsos paimāne ko ham
mai bhī hai miinā bhī hai sāġhar bhī hai saaqī nahīñ
dil meñ aatā hai lagā deñ aag mai-ḳhāne ko ham
kyuuñ nahīñ letā hamārī tū ḳhabar ai be-ḳhabar
kyā tire āshiq hue the dard-o-ġham khāne ko ham
ham ko phañsnā thā qafas meñ kyā gila sayyād kā
bas taraste hī rahe haiñ aab aur daane ko ham
tāq-e-abrū meñ sanam ke kyā ḳhudā.ī rah ga.ī
ab to pūjeñge usī kāfir ke but-ḳhāne ko ham
baaġh meñ lagtā nahīñ sahrā se ghabrātā hai dil
ab kahāñ le jā ke baiTheñ aise dīvāne ko ham
kyā huī taqsīr ham se tū batā de ai 'nazīr'
taaki shādī-marg samjheñ aise mar jaane ko ham
Top Urdushayar.com