Nazeer Akbarabadi

kya kahin duniya mein hum insan ya haiwan the

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
kyā kahīñ duniyā meñ ham insān yā haivān the
ḳhaak the kyā the ġharaz ik aan ke mehmān the
kar rahe the apnā qabza ġhair kī imlāk par
ġhaur se dekhā to ham bhī saḳht be-īmān the
aur kī chīzeñ dabā rakhnā baḌī samjhī thī aql
chhīn liiñ jab us ne jab jaanā ki ham nādān the
ek din ik ustuḳhāñ uupar paḌā merā jo paañv
kyā kahūñ us dam mujhe ġhaflat meñ kyā kyā dhyān the
paañv paḌte hī ġharaz us ustuḳhāñ ne aah kī
aur kahā ġhāfil kabhī to ham bhī sāhab jaan the
dast-o-pā zaanū sar-o-gardan shikam pusht-o-kamar
dekhne ko āñkheñ aur sunñe kī ḳhātir kaan the
abrū-o-bīnī jabīñ naqsh-o-nigār-o-ḳhāl-o-ḳhat
la.al-o-marvārīd se behtar lab-o-dandān the
raat ko sone ko kyā kyā narm-o-nāzuk the palañg
baiThne ko din ke kyā kyā koThe aur dālān the
khul rahā thā rū-ba-rū jannat ke gulshan kā chaman
nāznīn mahbūb goyā huur aur ġhilmān the
lag rahā thā dil ka.ī chanchal parī-zādoñ ke saath
kuchh kisī se ahd the aur kuchh kahīñ paimān the
gul-badan aur gul-ezāroñ ke kināro bos se
kuchh nikālī thī havas kuchh aur bhī armān the
mach rahe the chahchahe aur uḌ rahe the qahqahe
sāqī-o-sāġhar surāhī phuul itr-o-pān the
ek hī chakkar diyā aisā ajal ne aan kar
jo na ham the aur na vo sab aish ke sāmān the
aisī bedardī se ham par paañv mat rakh ai 'nazīr'
o miyāñ terī tarah ham bhī kabhī insān the
Top Urdushayar.com