Nazeer Akbarabadi

chahat ke ab ifsha-kun-e-asrar to hum hain

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
chāhat ke ab ifshā-kun-e-asrār to ham haiñ
kyuuñ dil se jhagaḌte ho gunahgār to ham haiñ
rū ā.īne ko dete ho bar-aks hamāre
ā.īna rakho tālib-e-dīdār to ham haiñ
gulshan meñ ajab jaate ho kar husn kī taz.īn
is jins-e-dil-ārā ke ḳharīdār to ham haiñ
kyā kabk ko dikhlāte ho andāz-e-ḳhirām aah
hasrat-zada-e-shoḳhi-e-raftār to ham haiñ
kī chashm sū-e-nargis-e-bīmār to phir kyā
is ain ināyat ke sazā-vār to ham haiñ
dil de ke dil-āzār ko kyā shikva-e-bedād
gar sochiye apne liye āzār to ham haiñ
jis din se phañse dekhī na phir shakl-e-rihā.ī
kyā kahiye 'nazīr' aise giraftār to ham haiñ
Top Urdushayar.com