vo mashq-e-ḳhu-e-taġhāful phir ek baar rahe
bahut dinoñ mire mātam meñ sogvār rahe
ḳhudā kī maar jo ab dil pe iḳhtiyār rahe
bahut qarār ke parde meñ be-qarār rahe
kisī ne vāda-e-sabr-āzmā kiyā to hai
ḳhudā kare ki mujhe tāb-e-intizār rahe
fanā ke baad ye majbūriyāñ are tauba
koī mazār meñ koī sar-e-mazār rahe
sukūn-e-maut mirī laash ko nasīb nahīñ
rahe magar koī itnā na be-qarār rahe
maiñ kab se maut ke is aasre pe jiitā huuñ
ki zindagī mirī marne kī yādgār rahe
jo dil bachā na sake jaan kyā bachā leñge
na iḳhtiyār rahā hai na iḳhtiyār rahe
maiñ ġham-nasīb vo majbūr-e-shauq huuñ 'fānī'
jo nā-murād jiye aur ummīd-vār rahe