Nazeer Akbarabadi

hosh-o-KHirad ko kar diya tark aur shaghl jo kuchh tha chhoD diya

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
hosh-o-ḳhirad ko kar diyā tark aur shaġhl jo kuchh thā chhoḌ diyā
ham ne tumhārī chaah meñ ai jaañ dekho to kyā kyā chhoḌ diyā
kūche meñ us rashk-e-chaman ke jā ke jo baiThā phir us ne
bāġh-o-chaman yaañ jitne haiñ sab kā sair-o-tamāshā chhoḌ diyā
luuTā hosh aur luuTā diiñ ko dil ko bhī kuchlā kyā kyā vaah
naaz ko us ne aaj to kuchh be-dād par aisā chhoḌ diyā
din ko hamāre paas vo chanchal kaahe ko āvegā ai dil
raat ko ik dam ḳhvāb meñ aanā jis ne idhar kā chhoḌ diyā
tā.ir-e-dil jab ham se gayā phir fā.eda kyā jo pūchheñ 'nazīr'
shoḳh ne us ko zab.h kyā yā qaid rakhā yā chhoḌ diyā
Top Urdushayar.com