na Toko dosto us kī bahār nām-e-ḳhudā
yahī ab ek hai yaañ gul-ezār nām-e-ḳhudā
ye vo sanam hai parī-rū ki jis pe hotī thiiñ
hazār jaan se pariyāñ nisār nām-e-ḳhudā
usī sanam kī nigāhoñ kī barchhiyāñ yaaro
huī haiñ mere kaleje ke paar nām-e-ḳhudā
usī ke nashtar-e-mizhgāñ meñ ab vo tezī hai
ki jis se hote haiñ ham dil-figār nām-e-ḳhudā
usī sanam ke ruḳh o zulf ke tasavvur meñ
hamārī guzre hai lail-o-nahār nām-e-ḳhudā
galī meñ kūcha o bāzār meñ ham ab din raat
usī ke vāste phirte haiñ ḳhvār nām-e-ḳhudā
usī ke sar kī qasam hai ki ham to mar jaate
agar na hotā ye gul-rū nigār nām-e-ḳhudā
bane haiñ yaañ jo ka.ī dair aur sanam-ḳhāne
udhar jo jo hotā hai us kā guzār nām-e-ḳhudā
uThā ke siina jhaTak baazū aur banā kar dhaj
chale hai jis ghaḌī Thokar ko maar nām-e-ḳhudā
qadam qadam pe barahman kaheñ haiñ bismillāh
sanam bhī kahte haiñ sab baar baar nām-e-ḳhudā
ġharaz jidhar ko nikaltā hai ye to har ik ke
zabāñ se nikle hai be-iḳhtiyār nām-e-ḳhudā
'nazīr' ek ġhazal aur kah ki tere suḳhan
haiñ ab to sab guhar-e-āb-dār nām-e-ḳhudā