kahā ye aaj hameñ fahm ne suno sāhib
ye bāġh-e-dahr ġhanīmat hai dekh lo sāhib
jo rañg-o-bū ke uThāne meñ haz uThā liije
mabādā phir kaf-e-afsos ko malo sāhib
ye vo chaman hai nahīñ ek se nahīñ jis meñ
tabaddul is kā har ik gul se soch lo sāhib
ki thā jo sub.h-e-shagufta na thā vo shaam ke vaqt
jo shaam thā so na dekhā vo sub.h ko sāhib
pas is misāl se zāhir hai ye suḳhan ya.anī
isī tarīq se aalam meñ tum bhī ho sāhib
jo sarnavisht hai hogā isī tarah se 'nazīr'
qazā qazā nahīñ hone kī kuchh karo sāhib