ishq kā maarā na sahrā hī meñ kuchh chaupaT paḌā
hai jahāñ us kā amal vo shahr bhī hai paT paḌā
āshiqoñ ke qatl ko kyā tez hai abrū kī teġh
Tuk udhar jumbish huī aur sar idhar se kaT paḌā
ashk kī nok-e-mizha par shīsha-bāzī dekhiye
kyā kalā.eñ kheltā hai baañs par ye naT paḌā
shāyad us ġhuncha-dahan ko hañste dekhā baaġh meñ
ab talak ġhuncha balā.eñ letā hai chaT chaT paḌā
dekh kar us ke sarāpā ko ye kahtī hai parī
sar se le kar paañv tak yaañ husn aa kar phaT paḌā
kyā tamāshā hai ki vo chanchal haTīlā chulbulā
aur se to hiT gayā par mere dil par haT paḌā
kyā huā go mar gayā farhād lekin dosto
be-sutūñ par ho rahā hai aaj tak khaT khaT paḌā
hijr kī shab meñ jo khīñchī aan kar naale ne teġh
kī paTe-bāzī vale tāsīr se haT haT paḌā
dil baḌhā kar us meñ khīñchā aah ne phir nīmcha
ai 'nazīr' āḳhir vo us kā nīmcha bhī paT paḌā