Nazeer Akbarabadi

aan rakhta hai ajab yar ka laD kar chalna

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
aan rakhtā hai ajab yaar kā laḌ kar chalnā
har qadam naaz ke ġhusse meñ akaḌ kar chalnā
jitne ban ban ke nikalte haiñ sanam nām-e-ḳhudā
sab meñ bhātā hai mujhe us kā bigaḌ kar chalnā
nā-tavānī kā bhalā ho jo huā mujh ko nasīb
us kī dīvār kī īñToñ ko ragaḌ kar chalnā
us kī kākul hai burī maan kahā ai af.ī
dekhiyo us se tū kāñdhā na ragaḌ kar chalnā
chalte chalte na ḳhalish kar falak-e-dūñ se 'nazīr'
fā.eda kyā hai kamīne se jhagaḌ kar chalnā
Top Urdushayar.com