kahte haiñ yaañ ki ''mujh sā koī mah-jabīñ nahīñ''
pyāre jo ham se pūchho to yaañ kyā kahīñ nahīñ
tujh sā to koī husn meñ yaañ nāznīñ nahīñ
yuuñ nāznīñ bahut haiñ ye nāz-āfrīñ nahīñ
saaqī ko jaam dene meñ us ḳhush-nigah ko aah
har dam ishārateñ haiñ ki us ke ta.iiñ nahīñ
jab us nahīñ ke kahne se maane hai vo burā
aaphī phir us ko kahtā huuñ hañs kar nahīñ nahīñ
itnā to chheḌtā huuñ ki kahtā hai jab vo shoḳh
banda tū merā mol ḳharīdā nahīñ nahīñ
saaqī tujhe qasam hai diye jā mujhe tū jaam
yaañ dam meñ dam hai hotī nahīñ jab nahīñ nahīñ
pūchhe hai us se jab koī qatl-e-'nazīr' ko
kahtā hai ham ne maarā hai haañ haañ nahīñ nahīñ