Nazeer Akbarabadi

gar aish se ishrat mein kaTi raat to phir kya

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
gar aish se ishrat meñ kaTī raat to phir kyā
aur ġham meñ basar ho ga.ī auqāt to phir kyā
jab aa.ī ajal phir koī DhūñDā bhī na paayā
qissoñ meñ rahe harf-o-hikāyāt to phir kyā
had bos-o-kanār aur jo thā us ke sivā aah
gar vo bhī mayassar huā haihāt to phir kyā
do din agar in āñkhoñ ne duniyā meñ mirī jaañ
kī nāz-o-adāoñ kī ishārāt to phir kyā
phir uḌ ga.ī ik aan meñ sab hashmat o sab shaan
le sharq se tā ġharb lagā haat to phir kyā
asp o shutur o fiil o ḳhar o naubat o lashkar
gar qabr talak apne chalā saat to phir kyā
jab aa.ī ajal phir vahīñ uTh bhāge shitābī
rindoñ meñ hue ahl-e-ḳharābāt to phir kyā
do din ko jo ta.avīz o fatīla o amal se
tasḳhīr kiyā ālam-e-jinnāt to phir kyā
is umr-e-do-roza meñ agar ho ke nujūmī
sab chhān liye arz o samāvāt to phir kyā
ik dam meñ havā ho ga.e sab amalī o nazarī
the yaad jo asbāb o alāmāt to phir kyā
us ne koī din baiTh ke ārām se khāyā
vo māñgtā dar dar phirā ḳhairāt to phir kyā
daulat hī kā milnā hai baḌī chiiz 'nazīr' aah
bil-farz huī us se mulāqāt to phir kyā
āḳhir ko jo dekhā to hue ḳhaak kī Dherī
do din kī huī kashf-o-karāmāt to phir kyā
jab aa.ī ajal ek riyāzat na ga.ī pesh
mar mar ke jo kī koshish o tā.āt to phir kyā
jab aa.ī ajal aah to ik dam meñ ga.e mar
gar ye bhī huī ham meñ karāmāt to phir kyā
Top Urdushayar.com