iisā kī qum se hukm nahīñ kam faqīr kā
arinī pukārtā hai sadā dam faqīr kā
ḳhūbī bharī hai jis meñ do-ālam kī koT koT
allāh ne kiyā hai vo aalam faqīr kā
sab jhuuT hai ki tum ko hamārā ho ġham miyāñ
baabā kise ḳhudā ke sivā ġham faqīr kā
ham kyuuñ na apne-āp ko ro leveñ jīte-jī
ai dost kaun phir kare mātam faqīr kā
mar jāveñ ham to par na ḳhabar ho ye tum ko aah
kyā jaane kab jahāñ se gayā dam faqīr kā
ab ham pe kyā guzartī hai aur kyā guzar ga.ī
kis se kaheñ vo yaar hai mahram faqīr kā
jab jīte-jī kisī ne na pūchhā to mehrbāñ
phir ba.ad-e-marg kis ko rahā ġham faqīr kā
ho kyuuñ na us ko faqr kī bātoñ meñ dast-gāh
hai bālakā 'nazīr' purātam faqīr kā