kaun yaañ saath liye tāj-o-sarīr aayā hai
yaañ to jo aayā hai pahle so faqīr aayā hai
ishq laayā hai faqat ek hī siine kī sipar
husn bāñdhe hue sau tarkash-o-tīr aayā hai
kal kisī shaḳhs ne us shoḳh se jā kar ye kahā
aaj dar par tire ik āshiq-e-pīr aayā hai
pusht ḳham-karda asā haath meñ gardan hiltī
zo.af-e-pīrī se nihāyat hī haqīr aayā hai
sun ke ye shakl-o-shabāhat terī us shoḳh ne aah
vahīñ ma.alūm kyā ye ki 'nazīr' aayā hai