tumhāre haath se kal ham bhī ro liye sāhib
jigar ke daaġh jo dhone the dho liye sāhib
ġhulām āshiq o chākar musāhib o hamrāz
ġharaz jo thā hameñ honā so ho liye sāhib
qarār-o-sabr jo karne the kar chuke barbād
havās-o-hosh jo khone the kho liye sāhib
hamāre vazn-e-mohabbat meñ kuchh ho farq to ab
phir imtihāñ kī tarāzū meñ tauliye sāhib
kuchh intihā-e-bukā ho to aur bhī yak-chand
sarishk-e-chashm se motī ko roliye sāhib
kal us sanam ne kahā dekh kar hameñ ḳhāmosh
ki ab to aap bhī Tuk lab ko kholiye sāhib
ye sun ke maiñ ne 'nazīr' us se yuuñ kahā hañs kar
jo koī bole to albatta boliye sāhib