karne lagā dil talab jab vo but-e-ḳhush-e-mizāj
ham ne kahā jaan kal us ne kahā hañs ke aaj
zulf ne us kī diyā kākul sumbul ko rashk
chashm-e-siyah ne liyā chashm se aahū ke baaj
us kī vo bīmār chashm dekh rahā tū jo dil
rah to sahī maiñ terā kartā huuñ kaisā ilaaj
kaam paḌā aan kar chaah se jis din hameñ
chhuT ga.e us roz se aur jo the kām-kāj
dil to na dete ham aah le ga.ī lekin 'nazīr'
us kī jabīñ kī hayā aur vo āñkhoñ kī laaj