Nazeer Akbarabadi

ye chhapke ka jo baala kan mein ab tumne Dala hai

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
ye chhapke kā jo baalā kaan meñ ab tum ne Daalā hai
isī baale kī daulat se tumhārā bol-bālā hai
nazākat sar se paañv tak paḌī qurbān hotī hai
ilāhī us badan ko tū ne kis sāñche meñ Dhālā hai
ye dil kyūñkar nigah se us kī chhidte haiñ maiñ hairāñ huuñ
na ḳhanjar hai na nashtar hai na jamdhar hai na bhālā hai
balā.eñ naag kaale nāgineñ aur saañp ke bachche
ḳhudā jaane ki is juuḌe meñ kyā kyā bāñdh Daalā hai
na ġhol aatā hai ḳhūbāñ kā sarak ai dil maiñ kahtā huuñ
ye kampū kī nahīñ palTan ye pariyoñ kā risālā hai
jise tum le ke bedardī se paañv meñ kuchalte ho
ye dil maiñ ne to ai sāhab baḌī mehnat se paalā hai
'nazīr' ik aur likh aisī ġhazal jo sun ke jī ḳhush ho
arī is Dhab kī bātoñ ne to dil meñ shor Daalā hai
Top Urdushayar.com