Nazeer Akbarabadi

kahne us shoKH se dil ka jo main ahwal gaya

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
kahne us shoḳh se dil kā jo maiñ ahvāl gayā
vaañ na tafsīl ga.ī pesh na ijmāl gayā
dām-e-kākul se gilā kyā ye jo hai tā.ir-e-dil
aap apne ye phañsāne ko par-o-bāl gayā
dil-e-be-tāb kī kyā jaane huī kyā sūrat
pīchhe us shoḳh sitam-gar ke jo filhāl gayā
le gayā saath lagā vo but-e-qātil ghar tak
yā use maar ke raste meñ kahīñ Daal gayā
ḳhair vo haal huā yā ye huī shakl 'nazīr'
kuchh ta.assuf na karo jaane do janjāl gayā
Top Urdushayar.com