Nazeer Akbarabadi

shab-e-mah mein dekh us ka wo jhamak jhamak ke chalna

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
shab-e-mah meñ dekh us kā vo jhamak jhamak ke chalnā
kiyā intiḳhāb mah ne ye chamak chamak ke chalnā
ravish-e-sitam meñ aanā to qadam uThānā jaldī
jo rah-e-karam meñ aanā to ThiThak ThiThak ke chalnā
na dhaḌak ho jo nikalnā to sar-e-ḳhatar pe Thokar
jo nazar guzar se Darnā to jhijak jhijak ke chalnā
jo navāzishoñ pe aanā to ragaḌ ke dosh jaanā
jo sar-e-itāb honā to phaTak phaTak ke chalnā
hai khubā 'nazīr' ab to mire jī meñ us sanam kā
vo akaḌ ke dhaj dikhānā vo humak humak ke chalnā
Top Urdushayar.com