Nazeer Akbarabadi

mera KHat hai jahan yaro wo rashk-e-hur le jaana

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
mirā ḳhat hai jahāñ yaaro vo rashk-e-hūr le jaanā
kisī sūrat se vaañ tak tum mirā mazkūr le jaanā
agar vo sho.ala-rū pūchhe mire dil ke phaphūloñ ko
to us ke sāmne ik ḳhosha-e-añgūr le jaanā
jo ye pūchhe ki ab kitnī hai us ke rañg par zardī
to yaaro tum gul-e-sad-barg yā kāfūr le jaanā
agar pūchhe mire siine ke zaḳhmoñ ko to ai yaaro
kahīñ se DhūñDh kar ik ḳhāna-e-zambūr le jaanā
raqīb-e-rū-siyah ke haal kā gar mājrā pūchhe
to us ke sāmne jañgal se ik lañgūr le jaanā
'nazīr' ik din ḳhushī se yaar ne hañs kar kahā mujh ko
ki tū bhī ek bosa ham se ai ranjūr le jaanā
Top Urdushayar.com