Fani Badayuni

le etibar-e-wada-e-farda nahin raha

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
le e'tibār-e-vāda-e-fardā nahīñ rahā
ab ye bhī zindagī kā sahārā nahīñ rahā
tum mujh se kyā phire ki qayāmat sī aa ga.ī
ye kyā huā ki koī kisī kā nahīñ rahā
kyā kyā gile na the ki idhar dekhte nahīñ
dekhā to koī dekhne vaalā nahīñ rahā
aaheñ hujūm-e-yās meñ kuchh aisī kho ga.iiñ
dil āshnā-e-dard hī goyā nahīñ rahā
allāh re chashm-e-hosh kī kasrat-parastiyāñ
zarre hī rah ga.e koī sahrā nahīñ rahā
de un pe jaan jis ko ġharaz ho ki dil ke baad
un kī nigāh kā vo taqāzā nahīñ rahā
tum do-ghaḌī ko aa.e na bīmār ke qarīb
bīmār do-ghaḌī ko bhī achchhā nahīñ rahā
'fānī' bas ab ḳhudā ke liye zikr-e-dil na chheḌ
jaane bhī de balā se rahā yā nahīñ rahā
Top Urdushayar.com