Nazeer Akbarabadi

ki talab ek shah ne kuchh pand az-hakim-e-nukta-dan

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
kī talab ik shah ne kuchh pand az-hakīm-e-nukta-dāñ
us ne sun ke yuuñ kahā ai sāhib-e-iqbāl-o-shāñ
yaad rakh aur paas rakh aur saḳht rakh aur jam.a kar
khā chhupā, kaaT aur uThā, de le, ba-ḳhūbī har zamāñ
us ne is mujmal ke tafsīlāt jab pūchhe to phir
lutf se us nukta-ras ne yuuñ kiyā is kā bayāñ
yaad rakh har dam ḳhudā ko paas rakh husn-e-vafā
saḳht rakh diiñ ko mudām aur jam.a kar ilm ai javāñ
khā ġhazab-ġhussa chhupā aib-e-rafīq-o-āshnā
kaaT rabt-e-ham-nashīn-e-bad ki hai is meñ ziyāñ
aur uThā har dam za.īf-o-nā-tavāñ se zulm-o-jaur
daad mazlūmoñ kī de aur le bahisht-e-jāvedāñ
nasr meñ mujh ko 'nazīr' aa.e the ye nukte nazar
maiñ ne nazm in ko kiyā to dil ho har dam shādmāñ
Top Urdushayar.com