Nazeer Akbarabadi

buton ki majlis mein shab ko mah-ru jo aur Tuk bhi qayam karta

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
butoñ kī majlis meñ shab ko mah-rū jo aur Tuk bhī qayām kartā
kunisht vīrāñ sanam ko banda brahmnoñ ko ġhulām kartā
ḳharāb ḳhasta samajh ke tū ne piyāre mujh ko abas nikālā
jo rahne detā tū gul-ruḳhoñ meñ qasam hai merī maiñ naam kartā
karoḌoñ dil jo mue paḌe haiñ nikalte ḳhūnīñ kafan se nālāñ
qayāmat aa jaatī jo vo qāmat galī meñ apnī ḳhirām kartā
na itne qisse na jañg hotī piyāre tere milāp uupar
raqīb aapī se zahr khāne jo vasl kā tū payām kartā
vo sarv-qāmat jo muskurā kar chaman meñ jaatā to muskurā kar
taḌaptī bulbul sisaktī qumrī guloñ pe hañsnā harām kartā
bhalā huā jo naqāb tū ne uThāyā chehre se hai parī-rū
vagarna siine se dil taḌap kar nigah meñ aa kar maqām kartā
jo zulfeñ mukhḌe pe khol detā sanam hamārā to phir ye gardūñ
na din dikhātā na shab bitātā na sub.h laatā na shaam kartā
vo bazm apnī thī mai-ḳhurī kī farishte ho jaate mast be-ḳhud
jo shaiḳh-jī vaañ se bach ke aate to phir maiñ un ko salām kartā
'nazīr' terī ishāratoñ se ye bāteñ ġhairoñ kī sun rahā hai
vagarna kis meñ thī tāb-o-tāqat jo us se aa kar kalām kartā
Top Urdushayar.com