altāf bayāñ hoñ kab ham se ai jaan tumhārī sūrat ke
haiñ lākhoñ apnī āñkhoñ par ehsān tumhārī sūrat ke
muñh dekhe ki ye baat nahīñ sach pūchho to ab duniyā meñ
behosh kare haiñ pariyoñ ko insān tumhārī sūrat ke
ā.īna-ruḳhoñ kī mahfil meñ jis vaqt ayaañ tum hote ho
sab aa.ina saañ rah jaate haiñ hairān tumhārī sūrat ke
kuchh kahne par mauqūf nahīñ ma.alūm abhī ho jāvegā
ḳhurshīd muqābil ho dekhe ik aan tumhārī sūrat ke
ki arz 'nazīr' ik bose kī jab hañs kar chanchal bolā yuuñ
is muñh se bosa lījiyegā qurbān tumhārī sūrat ke