Nazeer Akbarabadi

gar humne dil sanam ko diya phir kisi ko kya

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
gar ham ne dil sanam ko diyā phir kisī ko kyā
islām chhoḌ kufr liyā phir kisī ko kyā
kyā jaane kis ke ġham meñ haiñ āñkheñ hamārī laal
ai ham ne go nasha bhī piyā phir kisī ko kyā
aaphī kiyā hai apne girebāñ ko ham ne chaak
aaphī siyā siyā na siyā phir kisī ko kyā
us bevafā ne ham ko agar apne ishq meñ
rusvā kiyā ḳharāb kiyā phir kisī ko kyā
duniyā meñ aa ke ham se burā yā bhalā 'nazīr'
jo kuchh ki ho sakā so kiyā phir kisī ko kyā
Top Urdushayar.com