na dil meñ sabr na ab dīda-e-pur-āb meñ ḳhvāb
shitāb aa ki hameñ aave is azaab meñ ḳhvāb
jahāñ bhī ḳhvāb hai aur ham bhī ḳhvāb haiñ ai dil
ajab bahār kā dekhā ye ham ne ḳhvāb meñ ḳhvāb
hamārī chashm kā ai shahsavār tausan-e-nāz
jo ġhaur kī to kiyā hai tirī rikāb meñ ḳhvāb
har ik makāñ meñ guzargāh-e-ḳhvāb hai lekin
agar nahīñ to nahīñ ishq ke janāb meñ ḳhvāb
hujūm-e-ashk meñ lagtī hai chashm-e-tar is taur
ki jaise maahī ko aatā hai apne aab meñ ḳhvāb
ravā-ravī meñ lage aañkh kis tarah se 'nazīr'
musāfiroñ ko kahāñ aise iztirāb meñ ḳhvāb