kulāl-e-gardūñ agar jahāñ meñ jo ḳhaak merī kā jaam kartā
to maiñ sanam ke laboñ se mil kar ajab hī aish-e-mudām kartā
jo paatā lazzat bisān-e-mastāñ mai-e-mohabbat se terī zāhid
to ḳhānqa se nikal ke apnī vo mai-kade meñ qayām kartā
vo bazm apnī thī mai-kashī kī farishte ho jaate mast-o-be-ḳhud
jo shaiḳh jī vaañ se bach ke aate to phir maiñ un ko salām kartā
jo zulfeñ mukhḌe pe khol detā sanam hamārā to phir ye gardūñ
na din dikhātā na shab batātā na sub.h laatā na shaam kartā
vo bazm apnī thī mai-ḳhorī kī farishte ho jaate mast-o-be-ḳhud
jo shaiḳh jī bach ke vaañ se aate to maiñ phir un ko salām kartā
'nazīr' āḳhir ko haar kar maiñ galī meñ us kī gayā thā bikne
tamāshā hotā jo mujh ko le kar vo shoḳh apnā ġhulām kartā