Nazeer Akbarabadi

qatl par bandh chuka wo but-e-gumrah miyan

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
qatl par bāñdh chukā vo but-e-gumrāh miyāñ
dekheñ ab kis kī taraf hote haiñ allāh miyāñ
naza.a meñ chashm ko dīdār se mahrūm na rakh
varna tā-hashr ye dekheñgī tirī raah miyāñ
tū jidhar chāhe udhar jā ki sahar se tā-shām
maiñ bhī saa.e kī tarah huuñ tire ham-rāh miyāñ
ham tirī chaah se chāheñge use bhī dil se
jis ko jī chāhe use shauq se tū chaah miyāñ
lekin itnā hai ki is chaah meñ dariyā haiñ ka.ī
aise aise ka.ī haiñ jin kī nahīñ thaah miyāñ
aage muḳhtār ho tum ham jo tumheñ chāhe haiñ
is sabab se tumheñ ham karte haiñ āgāh miyāñ
jab dam-e-naz.a na aayā vo sitamgar to 'nazīr'
mar gayā kah ke ye hasrat-zada ai vaah miyāñ
Top Urdushayar.com