Nazeer Akbarabadi

kal jo ruKH-e-araq-fishan yar ne Tuk dikha diya

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
kal jo ruḳh-e-araq-fishāñ yaar ne Tuk dikhā diyā
paanī chhiḌak ke ḳhvāb se fitne ko phir jagā diyā
us ke sharār-e-husn ne sho.ala jo ik dikhā diyā
tuur ko sar se paañv tak phūñk diyā jalā diyā
phir ke nigāh chār-sū Thahrī usī ke rū-ba-rū
us ne to merī chashm ko qibla-numā banā diyā
merā aur us kā iḳhtilāt ho gayā misl-e-abr-o-barq
us ne mujhe rulā diyā maiñ ne use hañsā diyā
maiñ huuñ patañg kāġhzī Dor hai us ke haath meñ
chāhā idhar ghaTā diyā chāhā udhar baḌhā diyā
teshe kī kyā majāl thī ye jo tarāshe be-sutūñ
thā vo tamām dil kā zor jis ne pahāḌ Dhā diyā
guzre jo sū-e-ḳhānqāh vaañ bhī ba-shakl-e-jānmāz
ahl-e-salāh-o-zuhd ko farsh kiyā bichhā diyā
nikle jo rāh-e-dair se ik hī nigāh-e-mast meñ
gabr kā sabr kho diyā but ko bhī but banā diyā
shikva hamārā hai bajā muft-baroñ se kis liye
ham ne to apnā dil diyā ham ko kisī ne kyā diyā
sun ke hamāre haal kā yaar ne ik suḳhan 'nazīr'
hañs ke kahā ki bas jī bas tum ne to sar phirā diyā
Top Urdushayar.com