Fani Badayuni

jazb-e-dil jab ba-ru-e-kar aaya

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
jazb-e-dil jab ba-rū-e-kār aayā
har nafas se payām-e-yār aayā
maut kā intizār thā aa.ī
jā.iye ab mujhe qarār aayā
jab kisī ne liyā tumhārā naam
girya be-qasd-o-iḳhtiyār aayā
be-qarārī meñ ab ye hosh nahīñ
kis ke dar par tujhe pukār aayā
farsh-e-gul phir bichhā rahī hai nasīm
aa.iye mausam-e-bahār aayā
aaj ham pī sake na vo aañsū
un ke aage jo baar baar aayā
ḳhair to hai ki aap ke dar se
aaj 'fānī' ummīd-vār aayā
Top Urdushayar.com