Nazeer Akbarabadi

kya kasa-e-mai lijiye is bazm mein ai ham-nashin

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
kyā kāsa-e-mai lījiye is bazm meñ ai ham-nashīñ
daur-e-falak se kyā ḳhabar pahuñchegā lab tak yā nahīñ
ye kāsa-e-fīrozgūñ hai shīsha-bāz-e-pur-funūñ
jitne hiyal haiñ aur fusūñ sab us ke haiñ zer-e-nagīñ
ho e'timād us kā kise hai shīsha-bāzī yaad use
rakhtā hai shaad ik dam jise kartā hai phir andohgīñ
kal dāman-e-sahrā meñ ham guzre jo vaqt-e-sub.h-dam
ik kāsa-e-sar par alam aayā nazar apne vahīñ
bolā ba-fariyād-o-fuġhāñ kyā dekhtā hai o miyāñ
the ham bhī sar-bar-āsmāñ go ab to haiñ zer-e-zamīñ
gul-barg se nāzuk-badan sar paañv se rashk-e-chaman
zarrīñ o sīmīñ pairahan dilkash makānoñ ke makīñ
din raat naaz o nemateñ mah-tal.atoñ kī sohbateñ
aish-o-nashāt-o-ishrateñ saaqī qirāñ mutrib qarīñ
bāġh-o-chaman pesh-e-nazar bazm-e-tarab shām-o-sahar
har-sū ba-kasrat jalva-gar husn-e-butān-e-nāznīñ
ek āsmāñ ke daur se ik gardish-e-fil-faur se
ab sochiyegā ġhaur se dar-lahza-āñ dar-lahza-īñ
sunte hī jī tharrā gayā ruḳhsār par ashk aa gayā
dil ibratoñ se chhā gayā ḳhātir huī bas sahmagīñ
us meñ sar apnā nā-gahāñ har mū huā misl-e-zabāñ
bolā 'nazīr' aagah ho haañ man-nīz-roze ham-chunīñ
Top Urdushayar.com