Nazeer Akbarabadi

kal uske chehre ko humne jo aaftab likha

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
kal us ke chehre ko ham ne jo āftāb likhā
to us ne paḌh ke vo naama bahut itaab likhā
jabīñ ko mah jo likhā to kahā ho chīñ-ba-jabīñ
ye kaisī us kī samajh thī jo māhtāb likhā
chamakte dāñtoñ ko gauhar likhā to hañs ke kahā
sitāre uḌ ga.e the jo dur-e-ḳhush-āb likhā
likhā jo mushk-e-ḳhatā zulf ko to bal khā kar
kahā ḳhatā kī jo ye harf-e-nā-savāb likhā
gulāb araq ko likhā to ye bolā naak chaḌhā
use na itr mayassar thā jo gulāb likhā
jigar kabāb likhā apnā to kahā jal kar
bhalā jī kyā maiñ sharābī thā jo kabāb likhā
hisāb-e-shauq kā daftar likhā to jhuñjhlā kar
kahā maiñ kyā mutasaddi thā jo hisāb likhā
jo be-hisāb likhā ishtiyāq-e-dil to kahā
vo kis hisāb meñ hai ye bhī be-hisāb likhā
hue jo radd-o-badal aise kitne baar nazīr
to us ne ḳhat kā hamāre na phir javāb likhā
Top Urdushayar.com